Showing posts with label Hindi-Shayari. Show all posts
Showing posts with label Hindi-Shayari. Show all posts

Monday, August 28, 2017

Hasino Ne Haseen Bankar Gunaah Kiya

हसीनो ने हसीन बनकर गुनाह किया,
औरों को तो क्या हमको भी तबाह किया,
पेश किया जब ग़ज़लों में हमने उनकी बेवफ़ाई को,
औरों ने तो क्या उन्होने भी वाह-वाह किया.

Hasino Ne Haseen Bankar Gunaah Kiya,
Auro Ko To Kya Humko Bhi Tabah Kiya,
Pesh Kiya Jab Shayari Mein Humne Unki Bewafai Ko,
Auro Ne To Kya Unhone Bhi Wah-wah Kiya.

Kadam Kadam Pe Baharon Ne Saath Chhoda

कदम कदम पर बहारो ने साथ छोडा,
जरुरत पडने पर यारो ने साथ छोडा,
बादा किया सितारोँ ने साथ निभाने का,
सुबह होने सितारो ने साथ छोडा.

Kadam Kadam Pe Baharon Ne Saath Chhoda,
Zaroorat Padne Par Yaaron Ne Saath Chhoda,
Vaada Kiya Sitaron Ne Saath Dene Ka,
Subah Hone Par Sitaron Ne Bhi Saath Chhoda.

Ulfat Ka Aksar Yehi Dastur Hota Hai

उल्फत का अक्सर यही दस्तूर होता है,
जिसे चाहो वही अपने से दूर होता है,
दिल टूटकर बिखरता है इस कदर,
जैसे कोई कांच का खिलौना चूर-चूर होता है!

Ulfat Ka Aksar Yehi Dastur Hota Hai,
Jise Chaho Wahi Apne Se Dur Hota Hai,
Dil Tutkar Bikharta Hai Is Kadar Jaise
Koi Kanch Ka Khilona Chur-chur Hota Hai.

Har Bat Pe Aansu Bahaya Nahi Karte

हर बात में आंसू बहाया नहीं करते,
दिल की बात हर किसी को बताया नहीं करते,
लोग मुट्ठी में नमक लेके घूमते है..
दिल के जख्म हर किसी को दिखाया नहीं करते।

Har Bat Pe Aansu Bahaya Nahi Karte,
Dil Ki Bad Har Kisi Ko Bataya Nahi Karte,
Log Muthi Me Namak Leke Ghumte Hain..
Dil Ke Jakham Har Kisi Ko Dkhaya Nahi Karte!!