Showing posts with label Pyar-Shayari. Show all posts
Showing posts with label Pyar-Shayari. Show all posts

Monday, August 28, 2017

Mohabbat Ki Talaash Me Nikale Ho Tum

मोहब्बत की तलाश मैं निकले हो तुम
अरे ओ पागल…
मोहब्बत खुद तलाश करती है…
जिसे बर्बाद करना हो|

Mohabbat Ki Talaash Me Nikale Ho Tum
Are O Pagal,
Muhabbat Khud Talash Karti Hai,
Jise Barbad Karna Ho.

Ek Pal Ka Ehsaas Bankar Aate Ho Tum

एक पल का एहसास बनकर आते हो तुम,
दुसरे ही पल ख्वाब बनकर उड़ जाते हो तुम,
जानते हो की लगता है डर तन्हाइयों से,
फिर भी बार बार तनहा छोड़ जाते हो तुम..!!

Ek Pal Ka Ehsaas Bankar Aate Ho Tum,
Dusre Hi Pal Khwab Bankar Udd Jate Ho,
Tum Jaante ho Ki Lagta Hai Dar Tanhaiyon se,
Phir Bhi Baar Baar Tanha Chhor jate ho Tum..!!

Usne Kaha Pyar Ek Dard Hai

Usne Kaha Pyar Ek Dard Hai..
Humne Kaha Dard Qabul Hai..
Usne Kaha Dard Ke Saath Ji Na Paoge..
Humne Kaha Teri Pyar Ke Saath Marna Qabul Hai.

Unke Hontho Pe Mera Naam Jab Aya Hoga

Unke Hontho Pe Mera Naam Jab Aya Hoga..
Khudko Ruswayi Se Phir Kaise Bachaya Hoga..
Sunke Fasana Auro Se Merii Barbadi Ka..
Kya Unko Apna Sitam Na Yaad Aya Hoga.

Kuch Log Kahte Hain Ki Badal Gaya Hoon Main

कुछ लोग कहते है की बदल गया हूँ मैं,
उनको ये नहीं पता की संभल गया हूँ मैं,
उदासी आज भी मेरे चेहरे से झलकती है,
पर
अब दर्द में भी मुस्कुराना सीख गया हूँ मैं|

Dard Ka Ehsas Janna Hai To Pyar Kar Ke Dekho

Dard Ka Ehsas Janna Hai To Pyar Kar Ke Dekho,
Apni Aankho Me Kisi Ko Utar Kar Dekho,
Chot Unko Lagegi Aansu Tumhe Aa Jayenge,
Ye Ehsas Janna Ho To Dil Haar Kar Dekho.

Apna Hoga To Sata Ke Marham Dega

अपना होगा तो सता के मरहम देगा,
जालिम होगा अपना बना के जख्म देगा,
समय से पहले पकती नहीं फसल,
अरे बहुत बरबादियां अभी मौसम देगा|

Apna Hoga To Sata Ke Marham Dega,
Zalim Hoga To Apna Bna Ke Zakhm Dega,
Samay Se Pehle Pakti Nahi Fasal Are..
Boht Barbadiyan Abhi Mousam Dega.

Maine Kaha Unse Chhod Do Ya Tod Do Mujhe

Maine Kaha Unse Chhod Do Ya Tod Do Mujhe,
Muskura Kar Sitam dhaya Unhone,
Chhod To Diya Hi Hai Tumko,
Toot Tum Khud-ba-Khud jaoge

Pyar Kiya To Badnaam Hogaye

प्यार किया बदनाम हो गए,
चर्चे हमारे सरेआम हो गए,
ज़ालिम ने दिल उस वक़्त तोडा,
जब हम उसके गुलाम हो गए|

Pyar Kiya To Badnaam Hogaye,
Charche Hamare Sar E Aamho Gaye,
Zaalim Ne Dil Bhi Usi Waqttoda,
Jab Hum Uske Pyar K Gulamho Gaye.

Meri Rooh Mein Na Samatey To Bhool Jaate Tujhe

मेरी रूह में न समाती तो भूल जाता तुम्हे,
तुम इतना पास न आती तो भूल जाता तुम्हे,
यह कहते हुए मेरा ताल्लुक नहीं तुमसे कोई,
आँखों में आंसू न आते तो भूल जाता तुम्हे|

Meri Rooh Mein Na Samatey To Bhool Jaate Tujhe,
Tum Itna Pass Na Aate To Bhool Jaate Tujhe,
Ye Kehte Hue Mera Tum Se Koi Talauq Nahi,
Ankhon Mein Ansoo Na Aate To Bhool Jaate Tujhe.

Kabhi Ro Ke Muskuraye Kabhi Muskura Ke Roye

कभी रो के मुस्कुराए, कभी मुस्कुरा के रोए,
जब भी तेरी याद आई तुझे भुला के रोए,
एक तेरा ही तो नाम था जिसे हज़ार बार लिखा,
जितना लिख के खुश हुए उस से ज़यादा मिटा के रोए.

Kabhi Ro Ke Muskuraye Kabhi Muskura Ke Roye,
Jab Bhi Teri Yaad Aayi Tujhe Bhula Ke Roye,
Ek Tera Hi To Naam Tha Jise Hazaar Bar Likha,
Jitna Likh Ke Khush Hue Uss Se Jyada Mita Ke Roye..

Na Pucho Haalat Meri Ruswaai Ke Baad

न पूछो हालत मेरी रूसवाई के बाद,
मंजिल खो गयी है मेरी, जुदाई के बाद,
नजर को घेरती है हरपल घटा यादों की,
गुमनाम हो गया हूँ गम-ए-तन्हाई के बाद!!

Na Pucho Haalat Meri Ruswaai Ke Baad,
Majil Kho Gai Hai Meri, Judaai Ke Baad,
Najar Ko Gherti Hai Har Pal Ghata Yaado Ki..
Gumnaam Ho Gaya Hu Gam-e-tanhai Ke Baad.

Wo Hume Bhul Bhi Jaaye To Koi Gham Nahin

वो हमें भूल भी जायें तो कोई गम नहीं,
जाना उनका जान जाने से भी कम नहीं,
जाने कैसे ज़ख़्म दिए हैं उसने इस दिल को,
कि हर कोई कहता है कि इस दर्द की कोई मरहम नहीं।

Rote Rahe Tum Bhi, Rote Rahe Hum Bhi

रोते रहे तुम भी, रोते रहे हम भी,
कहते रहे तुम भी और कहते रहे हम भी,
ना जाने इस ज़माने को हमारे इश्क़ से क्या नाराज़गी थी,
बस समझाते रहे तुम भी और समझाते रहे हम भी।

Hasino Ne Haseen Bankar Gunaah Kiya

हसीनो ने हसीन बनकर गुनाह किया,
औरों को तो क्या हमको भी तबाह किया,
पेश किया जब ग़ज़लों में हमने उनकी बेवफ़ाई को,
औरों ने तो क्या उन्होने भी वाह-वाह किया.

Hasino Ne Haseen Bankar Gunaah Kiya,
Auro Ko To Kya Humko Bhi Tabah Kiya,
Pesh Kiya Jab Shayari Mein Humne Unki Bewafai Ko,
Auro Ne To Kya Unhone Bhi Wah-wah Kiya.

Kadam Kadam Pe Baharon Ne Saath Chhoda

कदम कदम पर बहारो ने साथ छोडा,
जरुरत पडने पर यारो ने साथ छोडा,
बादा किया सितारोँ ने साथ निभाने का,
सुबह होने सितारो ने साथ छोडा.

Kadam Kadam Pe Baharon Ne Saath Chhoda,
Zaroorat Padne Par Yaaron Ne Saath Chhoda,
Vaada Kiya Sitaron Ne Saath Dene Ka,
Subah Hone Par Sitaron Ne Bhi Saath Chhoda.

Ulfat Ka Aksar Yehi Dastur Hota Hai

उल्फत का अक्सर यही दस्तूर होता है,
जिसे चाहो वही अपने से दूर होता है,
दिल टूटकर बिखरता है इस कदर,
जैसे कोई कांच का खिलौना चूर-चूर होता है!

Ulfat Ka Aksar Yehi Dastur Hota Hai,
Jise Chaho Wahi Apne Se Dur Hota Hai,
Dil Tutkar Bikharta Hai Is Kadar Jaise
Koi Kanch Ka Khilona Chur-chur Hota Hai.

Har Bat Pe Aansu Bahaya Nahi Karte

हर बात में आंसू बहाया नहीं करते,
दिल की बात हर किसी को बताया नहीं करते,
लोग मुट्ठी में नमक लेके घूमते है..
दिल के जख्म हर किसी को दिखाया नहीं करते।

Har Bat Pe Aansu Bahaya Nahi Karte,
Dil Ki Bad Har Kisi Ko Bataya Nahi Karte,
Log Muthi Me Namak Leke Ghumte Hain..
Dil Ke Jakham Har Kisi Ko Dkhaya Nahi Karte!!

Dard Se Dosti Ho Gayi Yaaro

दर्द से दोस्ती हो गई यारों,
जिंदगी बे दर्द हो गई यारों,
क्या हुआ जो जल गया आशियाना हमारा,
दूर तक रोशनी तो हो गई यारो।

Dard Se Dosti Ho Gayi Yaaro,
Zindagi Bedard Ho Gayi Yaaro.
Kya Hua Jo Jal Gaya Aashiyana Hamara,
Duur Tak Roshni To Ho Gayi Yaaro..

Toota Ho Dil To Dukh Hota Hai

टूटा हो दिल तो दुःख होता है,
करके मोहब्बत किसी से ये दिल रोता है,
दर्द का एहसास तो तब होता है,
जब किसी से मोहब्बत हो और उसके दिल में कोई और होता है।

Toota Ho Dil To Dukh Hota Hai,
Karke Mohabbat Kisi Se Ye Dil Rota Hai,
Dard Ka Ehsaas To Tab Hota Hai,
Jab Kisi Se Mohabbat Ho Aur Uske Dil Mei Koi Aur Hota Hai.