Sunday, August 27, 2017

Dukh Dekar Sawal Karte Ho

दुःख देकर सवाल करते हो,
तुम भी जानम कमाल करते हो,

देख कर पूछ लिया हाल मेरा,
चलो कुछ तो ख्याल करते हो,

शहर-ए दिल में ये उदासियाँ कैसी,
ये भी मुझसे सवाल करते हो,

मरना चाहें तो मर नहीं सकते,
तुम भी जीना मुहाल करते हो,

अब किस-किस की मिसाल दूँ तुम को,
हर सितम बे-मिसाल करते हो।


Dukh Dekar Sawal Karte Ho,
Tum Bhi Jaanam Kamaal Karte Ho,

Dekh Kar Puch Liya Haal Mera,
Chalo Kuch To Khayal Karte Ho,

Shahar-e-dil Me Ye Udasiyan Kaisi,
Ye Bhi Mujhse Sawal Karte Ho,

Marnaa Chahen To Mar Nahin Sakte,
Tum Bhi Jeena Muhaal Karte Ho,

Ab Kis-kis Ki Misaal Doon Tumko,
Har Sitam Be-misaal Karte Ho.

No comments:

Post a Comment